Maddox - Born For This

Copied!edit Lyrics
original text at lyrnow.com/2015514
(Intro)

This is not a song i'm dropping the apocalypse
Survival of the fittest, i'm feelin' like prodigy
Ye wave kare suffer meri jaise saare portugues
I am not born with this but i surely born for this

(Verse 1)

Janam hi se tha karam ye likhe jo panne bharke
Kalam hi se tha dharam ye laga ke rakhu sar se
Bana ke rakhe hum se wo jaane meri bhasade
Jo tha ni mere bas me wo bhi dikhaya kar ke

Badhte dekhe sapne karu ab inhe sach mai
Verse hai mеre nagme likhe jo pannе jalte
Chalte mere nakshe kadam pe saare ladke
Mukarte nahi sach se sitaare ye ubharte

Wo hum se ulajhte jo ladke the kal ke
Ab sach me mai deta inhe sar pe hi sadme
Samjhe mere dhang ye asaani se na bakshein
Jhagadte hum kam the par jamte ni nakhre

Khuda ki rehmat barse likhu mai sabse hat ke
Nazme sher'o shayri likhi jo maine gazalein
Charche apne tabse jabse hum the janme
Dar pe mere ab ye par deta nahi fuck mai
Kaise na karu khud pe bharosa mera us pe
Jaise mai ladu khud se fasa tha kaafi khud me
Laga tha jo mai rukne suna rha mai dukhde
Shulje mere sapne uljhe jo the bunte

Dhun se hi fitoor hai sunte geet shuru se
Muntazir urooj ke khud me gum hu mai
Chalte befizool jo unse koson dur mai
Khulke jeete roz hai, Khushnaseeb hu mai

Kehte the mujh ko kya hoga tera
Par jaane wo ab mai mamuli na
Kara jinhone tha naam ka samman ni
Abb bole adab se Rawat ji han

Music hai pehla aur baad me sab
Par baat ko meri wo samjhe na
Karta mai izzat jo bhi hai bade
Par kisi se yaha mai kam bhi naa

To leke jo chala mai kalam aur kagaz
Abb bhardu kitabein me saari fatafat
Nazakat samah jaise baraste baadal
Iss kala ke andar na meri zamanat

Wo daman ko chhode na jaane wo naam ab
Jo dete ni fuck the bana ab aafat
Mai unke liye par na rakha badapann
Jahan par bhi jau dabdaba wahan par
(Bridge)

Ahed of this time tum samjhoge ye sab baad me
Sangeet samrat, Hip Hop ka mai Tansen
Mar jaate kalakaar, kala hojati amar
Uski kya hi loge jaan jo khelta khudki jaan se

(Verse 2)

Halka haath likhayi pe fir bhi de dikhayi ye
Kitni hai tabhai ye kari jo han chadhayi ye
Kitno ko sikhaye ye kala na ki numaishein
Banayi jo pehchan se badhai jo kamayi hai

Mic pe thoda psych mai hua na kabhi sign mai
Zindagi banayi hai karte rehta grind mai
Jitna tha bhala hi mai utna hi qasai mai
Imtihaan kala hi ke likhe jo maine qaide

Line me kabhi aaye na dekhe wo kabhi aaina
Mic pe jo bhi gaye ha dekhe na kabhi fayda
Samjha unse jaaye na jaise mai samay raina
Kabza poore scene pe kehte wo al-qaeda

Jayga milli gaana jaagaega tera mayka
Bhaisaab wo bole jab sunte verse bhai ka
Shayara mere saath wo farmati jo mulaiza
Jayza leta game ka bana fira mai gayak ha
Baari ab meri aani hai, kaari jo meri gari hai
Thaami jo kalakaari hai, Trasadi maine laani hai
Tha ni jo khana thali me baitha na kabhi khali mai
Baaki to mera naam hi hai jaante jaise kanye

Likhi jo ye kahani hai gaano ka tabhi aadi mai
Baat ko meri maniye kehte wo mujhe manniye
Baaghi to mera sthan hi hai ladka jo pahadi hai
Shanti chahte sthaniye khoon jo krantikaari hai

Duniya jaane jo likhe afsanay hai
Khooni ye raatein aur khooni khayal hai
Kardu na mai bhi fir jaane anjaane me
Galti na hogi wo saare hi jaante

Waade jo kare wo saare nibhaane hai
Raaton ko jaage savera banane me
Aansu jo aate banjate tarane hai
Naa mai galat na ye galat iraade hai

Naata bas ussi se jaana bas ussi pe
Baant aaya khushi mai, barabar jo bhi the
Kamaya jo bhi hai, kaam aaya wo hi hai
Karamat jo bhi the, bana aghori mai

Banawato ki mai, bala se doori mai
Salami du ki jo mere se khoob hi hai
Banata kyu ni mai rishtey jo khoon ke
Batana chahata farebi wo jhoote the

(Bridge)

Mujhe apne aap pe aur mujhe apni art pe
Bharosa itna jitna duniya rakhti bhagwan pe
Jo gira agar mai kabhi to uthunga zaroor
Aur jo utha ek baari to mai udunga zaroor

(Verse 3)

Poora scene khau aaj aur scene karu samapt
Bina liye poori saans khoye hosh-o-hawash
Jo na jaane mera naam mai unhe dilau yaad
Hai kya paise ki aukaat jyada izzat meri aaj

Jaise mai udu baaj ab aankhon leke khwaab hai
Rehte ni mujhe yaad hai gaano ke mere naad hai
Likha jo itihaas hai gaana ye sadabahaar hai
Mila jo sammman hai gaano ka parinam hai

Chala na mai iski chaal mai uski chaal mai
Chalta bas khudki raah me khud bana ke
Kare launde istaqbal hai escobar mai
Kayi dekhi khudki haarein, khudse haare

Khauf mera har sabha me, dabdaba ye
Naam mera har zabaan pe, martaba ye
Thoda sa manchala mai, banchuka mai
Tezz bachpan se tha mai, sab ye jaane
 
0

Song Description:

edit soundcloud
Maddox's song "Born For This" is a powerful anthem that speaks to the artist's journey and determination to succeed. The song opens with a declaration that this is not just a song, but a declaration of the apocalypse and survival of the fittest. Maddox expresses his confidence and belief that he was born for greatness, despite not being born with natural talent.

In the first verse, Maddox reflects on his destiny and the challenges he has faced to get to where he is today. He describes his passion for music and his dedication to his craft, emphasizing that he will not be held back by anyone or anything. He talks about the struggles he has overcome and the dreams he is now turning into reality.

The second verse delves deeper into Maddox's journey in the music industry, highlighting his commitment to his art and his refusal to conform to expectations. He asserts his individuality and unique style, expressing his confidence in his abilities and his determination to succeed. Maddox also acknowledges the support of his fans and the impact of his music on others.

In the final verse, Maddox reflects on the challenges he has faced and the sacrifices he has made to pursue his passion. He talks about the importance of staying true to himself and his art, despite the pressures and expectations of the industry. Maddox concludes the song with a message of hope and resilience, emphasizing his determination to overcome any obstacles and continue to pursue his dreams.

SoundCloud:

edit soundcloud

More Maddox lyrics

Maddox - Make up your mind
{Tag} You're making me madd {Verse} I find it hard to say I miss you But I do, yeah I do And I should've never kissed you Cause I knew,

Maddox - Drunken waltz
{intro} Hmm, mm Hmmm {verse 1} Telling the time isn't something i'm good at It's either 2:30 or 5 'cuz when i'm having a

Maddox - Born For This
(Intro) This is not a song i'm dropping the apocalypse Survival of the fittest, i'm feelin' like prodigy Ye wave kare suffer meri jaise saare portugues I am not

YouTube

edit video

Maddox

Maddox
edit foto

Biography

edit bio
Kim Kyung Moon (김경문) is a South Korean singer under KQ Entertainment also known under his stage name Maddox. He officially debuted on 3 April, 2019 with the single ‘But Maybe’.