Albaari - BEGINNER

Copied!edit Lyrics
original text at lyrnow.com/2086953
Dil mei bohot kuch leke Pehli martaba hu jo mei likhne baitha

Par dimaag mere falsafon ko kaagzon par na aane deta

Rokta hai wo mujhe apna dard doosron ko batane se

Par ziddi mannn unhe Zahir kar hi bitha

Yaar-Parivar ab saath mei nahi hai mere

Ghamon ki chadar bhi ab har taraf se mujhe ghere

Dard Zahir karne ke liye koi ab paas mei nahi

To bana liye hai is kaghaz aur Kalam ko hi apna yaar-parivar meine

Ha bohot kuch mere zehen ke andar hi andar bas rakha

Kisi koney mei Khushi aur kisi kone me gham bhara

Par pehli martaba jo mei likhne baitha

Na jaane kyun bas Mera gham hi bahar nikla

Shayad gham ka bojh hi itna Jo Khushi ko mеri daba raha

Zehen bhi is bepanah gham ko safon par bеbaak baha raha

Aur ab to dimaag ne bhi uss ka saath de diya

Toh taiyyar raho duniya waalon ab ek aur Naya kalakaar iss duniya mei aa raha
Ek aur naya kalakaar iss duniya mei aa raha
 
0

Song Description:

edit soundcloud

SoundCloud:

edit soundcloud

More Albaari lyrics

Albaari - Zakhm
(VERSE 1) Toone chua zakhm ko mere Toh woh laa-ilaaj bana Toone suna dard ko mere Toh woh be-hisaab badha Bekhayali ke dino mein bhi Sirf tera hi khayaal dimaag

Albaari - BEGINNER
Dil mei bohot kuch leke Pehli martaba hu jo mei likhne baitha Par dimaag mere falsafon ko kaagzon par na aane deta Rokta hai wo mujhe apna dard doosron ko batane se

Albaari - Falsafa
Zindagi ka bas ek falsafa Ke koi kisi ka na hai saga Dafan karna toh door ki baat Unse janaaze pr kaandha bhi na laga Bhookh thi khushnuma zindagi ki Majboori mein afsurda

Albaari - Saying to You
(VERSE) Andheri raatein jaag kar Sunehre din ke khwaab dekhe Muflisi ke chand manzar bhi, behisaab dekhe Kodiyon mai bikte, lakho ke kaarobaar dekhe Aage badhne jinko