Mehdi Maloof - Dil Khirki

Copied!edit Lyrics
original text at lyrnow.com/465730
Verse
Ek hazaar jaanen aisi mujhpe sab fida
In sab ko al-wida'
Aur ek hazaar baaten aisi sab lagti hain sahi
Lekin main maanoon ga nahin

Kyunki kuch aise hain sawaal
Ki jinke hain jawaab lafzon mein mumkin hi nahin
Aur keh doon main agar sab paagal is qadr
Koyi maane ga nahin

Chorus
Bas ab dil khiṛki ko kholo
In darwaazon ko kholo
Bas ab dil khiṛki ko kholo
In darwaazon ko kholo

Verse
Aur ye darwaaze hain aise
Ki ye khul jaaen agar to band ye honge na kabhi
Aur darya kuchh hain aise
Jo na behne the kabhi, jab-tak ham ḍoobe the nahin

Aur ye zanjeeren hain aisi
Ye na khulni thi kabhi agar hum jhukte hi nahin
Aur manzar ye hain aise
Ye na dikhaayi dene the kabhi, andar ham ghuste agar nahin

Chorus
Bas ab dil khiṛki ko kholo
In darwaazon ko bolo
Bas ab dil khiṛki ko kholo
In darwaazon ko kholo

Verse
Aur haan ye sahraaon men cheekho
Ye waadiyon mein seekho
Ki ab dil khirki ko kholo
Aur haan ye sahraaon mein cheekho
Ye tanhaayi mein seekho
Ki ab dil khirki ko kholo
Aur go ham lagte hain hairaan
Akele pareshaan

Lekin ham khush hain meri jaan
Aur teri aankhen bhi udaas
Lambe bhikre tere baal
Lekin ye sach hai meri jaan
Ke phool khilte hi naheen
Aur ham milte nah kabhi
Agar ham gumte hi naheen

Refrain
Ek hazaar jaanen aisi mujhpe sab fida
In sab ko mahdi ma‘loof ka al-wida’

Outro
Bas ab dil khiṛki ko kholo
Bas ab dil khiṛki ko kholo
Bas ab dil khiṛki ko kholo
In darwaazon ko bolo
 
0

Song Description:

edit soundcloud

SoundCloud:

edit soundcloud

More Mehdi Maloof lyrics

Mehdi Maloof - Mera Dost Pareshan Hai
{Verse 1} Mera dost pareshan hai Keh kiya ajeeb si ye shaam hai Parinday bhi hairaan hain Bhainsain bhi pareshan hain Shehar bazaahir tou abaad hai Par

Mehdi Maloof - Peero
Peero yeh kesa iztarab Peero yeh kesi gandi khali kali gali jesi shaam Peero hum dunia daari mein bhe bachpan hee say thay bilkul baikaar Jis ko dil say seedha jana dunia ulta samjhi

Mehdi Maloof - Gandi Si Building
Gandi si building mein rehta hun Gandi si building mein hun mein Gandi si building mein rehta hun Gandi si building mein hun mein Gandi si building mein rehta hun Gandi

Mehdi Maloof - Do Hi Rastay Hain
Kuch youn meri kahani Ap tak jo hai pehchani Bus dou hi rastay hain Aur bus dou hi rastay hain Chahe jitnay dikhtay hain Asal mein dou hi rastay hain Jo hum ko

Mehdi Maloof - Dil Khirki
{Verse} Ek hazaar jaanen aisi mujhpe sab fida In sab ko al-wida' Aur ek hazaar baaten aisi sab lagti hain sahi Lekin main maanoon ga nahin Kyunki kuch

Mehdi Maloof - Nobody Knows
When you were gone to see the world I kinda wrote a song for you Well you saw new things and made new friends Got lost is streets in a foreign land You should join the

YouTube

edit video

Mehdi Maloof

Mehdi Maloof
edit foto

Biography

edit bio
Mehdi Maloof is an indie singer/songwriter from Islamabad, Pakistan.

Among his famous songs are “Do Hi Rastay Hain” and “Gandi Si Building”. He was nominated in the Lux Style Awards 2016 for Best Emerging Talent. He released his first EP titled “The Return of Kobra” in November 2020 and made his first debut in Coke Studio Season 13.

All of Mehdi Maloof’s music is licensed for distribution to Rearts Pvt. Ltd. imprint label rearts records.