Albaari - Falsafa

To Rate
Zindagi ka bas ek falsafa
Ke koi kisi ka na hai saga
Dafan karna toh door ki baat
Unse janaaze pr kaandha bhi na laga
Bhookh thi khushnuma zindagi ki
Majboori mein afsurda haalaaton ko hi chabana pada
Aur kaafi dekhli rangat iss zamaaney ki
Magar aakhirat mein kafan ke korey rang ko hi apnaana pada
Woh shakhs apne aap se itna ghabraane laga ke
Ab aaina dekhne se pehle mukhota lagane chala
Tasavvur ek haseen zindagi ka karta tha woh magar
Ab khwaabon ka sahaara lekar usey haqeeqat se door jaana pada

Suroor zindagi ka chadhta kaise
Jab ghumon ka nashaa ab tak utra nai
Aur meri jaan ki dushman toh meri zindagi hai
Mujhe maut se koi khatra nai
Padhney do kacchey ye dhaagey bandhan ke
Mujhe bhi rishtedaariyan nibhane ka koi shauq nai
Apno ne apni haqeeqat dikhadi, woh kaafi hai
Mujhe gairon se gaddari ka koi khauf nai

Jahaan-e-shauq-o-tamanna mein, ayе zindagi teri aabru kuch aur thi
Magar asal duniya mein teri koi izzat nai
Haar kе swaad ki aisi aadat lagi
Ke ab jeet mein milti woh lazzat nai
Sunn pad gayi hain nasey saari
Jism mein bhi dikhti nai harkat koi
Aaye din guzartey hain farishtey meri gali se
Magar meri dehleez pr deta nai dastak koi
Ujad gaya khwaabon ka aashiyaana
Bikhar gaya yaadon ka shaamiyaana
Zindagi ki hawa ne kiya ye kaarnaama

Comments

More Albaari lyrics

Albaari - Saying to You
(VERSE) Andheri raatein jaag kar Sunehre din ke khwaab dekhe Muflisi ke chand manzar bhi, behisaab dekhe Kodiyon mai bikte, lakho ke kaarobaar dekhe Aage badhne jinko

Albaari - Zakhm
(VERSE 1) Toone chua zakhm ko mere Toh woh laa-ilaaj bana Toone suna dard ko mere Toh woh be-hisaab badha Bekhayali ke dino mein bhi Sirf tera hi khayaal dimaag

Albaari - BEGINNER
Dil mei bohot kuch leke Pehli martaba hu jo mei likhne baitha Par dimaag mere falsafon ko kaagzon par na aane deta Rokta hai wo mujhe apna dard doosron ko batane se

Albaari - Falsafa
Zindagi ka bas ek falsafa Ke koi kisi ka na hai saga Dafan karna toh door ki baat Unse janaaze pr kaandha bhi na laga Bhookh thi khushnuma zindagi ki Majboori mein afsurda

Albaari